|
AAJ KE HALAAT
DUR KAHIN EK CHIRAG JAL RAHA HAI, magar roshni nehin hai, zal-zala sa zindegi ban gaya, zare zare pe maut ka saya hai, har taraf aag hi aag , har ghar mein ek laash hai, sabki ankhon mein dahshat bharee hai, har gali mein aatank raj hai, ish mahol mein ek bacha, maa... maa... pukarta hai, ushe in sabse kya lena , usko to bhuk lagee hai, apnon ne hi apnon ka khun bahaya, ishka etihas gawah hai, apnon ke khun se latpat, aaj bharat maa hai, kees pe yakeen karein , kees pe na karein, aaj har RAM ke peeche, ek RAAVAN chupa hai, DUR KAHIN...............
|
|